Baarishen

Aradhita Datta
1st Dec, 2022 – Poetry Recital Event.
Baarishon mein kuch jaadu sa hai
Mann ko behkaney ka tareeka sa hai
Jaise jaise boondein barsey
Ye mera dil bhi bechainiyon se machley
Tu saath apne laati hai yaadein kuch beetey palon ki,
Bayan karti gehri batein jo mere dil ke kisi koney mein aaj bhi hain basti
Woh din, woh shaam, jo kabhi ranginiyon se they bhare,
Haan woh din bhi badey khoob they, jo they pareshaniyon se parey
Yoon hi khelte koodtey, un baarishon mein bheege
Fir aaj kyu yeh naina un palon ko tarse
Beetey dinon ke saath sab kuch yoon hi badal sa raha hai
Par khushi is baat ki, baarish tu aaj bhi waisi hi hai
Aaj bhi jab barasti hai, kamaal hi karr jaati hai
Tere hi aaney par ab hum beeti yadon ko mehsoos kr lia karte hain.
The Mask

Subhra Ghosh
1st Dec, 2022 – Poetry Recital Event.
I was once sad and lonely having nobody to comfort me.
So I wore a mask that always smiled.
To hide my feelings behind a lie.
Before long, I had my friends
With my mask, I was one of them. But deep far inside, I still was like I was missing a part of me.
Nobody could see the pain I was feeling.
For I designed the mask to be laughing.
Nobody could hear my cries of night, for I designed my mask to hide the truth.
Behind all the smiles were the tears,
Behind all the comfort were the fears.
Everything you think you saw, wasn’t everything there was.
Day by day I was slowly dying
I couldn’t go on.
There was something missing.
until now I am still searching, for the things that will stop me crying.
For person who will erase my fear
For the person who will wipe my tear.
But till then I will keep smiling,
Hiding behind this mask, hope one day I will smile.
Till then I will be here, waiting.
waiting…..waiting…..
Time Lagega

Safeer Bhola
1st Dec, 2022 – Poetry Recital Event.
TIME LAGEGA! Bhai time he kiske paas?
Mummy ke paas jao to kehti he jaldi jaake dhaniya le aa
Papa ke paas jao to kehte he jaldi ghar sambhal le
Bhai ke paas jao to huh, jaldi yaha se bahar ja
Dadi ji ke paas jao to jaldi bahu leke aa
Dost ke paas jao to meko jaana he jaldi bol
Hotel me jao to waiter ko jaldi khana leke ao
Police wala roke to sahab kuch le de ke jaldi jane do
Joote tute to mochi ko jaldi theek kardo bhaiya
Sab hi to jaldi ho raha he
To sapno ko bhi to jaldi pura karna padega na!
Sab hi to jaldi ho raha he
To sapno ko bhi to jaldi pura karna padega na!
Par iss jaldbazi me me ruk kar wo gulab ka phool nahi sung sakta na
Me wo baarish ki tip tip tip girti bundo ka maza nahi le sakta na
Wo tapri ki garam kadak adrak wali chai nahi pi sakta na
4 se 24 hote hi sapno ki line badha
Aur apno ki kam
Duniya ke liye waqt
Aur apne liye kambhakht kuch nahi
Ha main wahi hu jo kehta he ki ek hi to zindagi he, thoda khulke ji le
Par me ye batana chahta hu ki aasaan nahi he khulke jeena
Par me ye bhi batana chahta hu ki yaad wahi khulke jeena aayega
To pyaare, ek hi zindagi he, zor laga aur khulke jee le!
O Dili!

Raazib Khan
1st Dec, 2022 – Poetry Recital Event.
Mohabbat sa hain ye sheher,
Jinke nazron se karta hoon guftagu,
Rooh chhod aaya waha,
Kahi aur hoke bhi waha hoon,
Wo chawri bazar ke raaste, Lal quila ka minaret,
Hujoom si galiyon main chole batore, Khan bhai ka wo omlette;
Oonchi manzilen aur chaure raaste, Connaught place ka chaka chaund,
Subhe subhe purani dilli ki nihari, Shyaam main champa gali ke aur,
Lajpat Nagar main kayi Abtari chehre,
Baccho ki maa-baap se wo zidd khoob,
Dolma aunty ke momos
Aur Khan Market ki mehengayi dekh hona taajjub.
Wo bhaag daud ke beech chupi khoobsurti, Bheed main dakhil Ghalib Saab ka ghar,
Jama masjid main maghrib main sajda, Chandni chowk main masid se laga Guru Nanak ji ka ghar.
Yaad Aati hain tumhari o Dilli,
Itne hi daryaft main hogayi aisi uns,
Kaisi hain ye aafreen,
Yaad Aati hain tumhari o Dilli.